Saturday, July 10, 2010

DIL CHAHTA HAI SONGS LYRICS







Music Director: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Year: 2001
Director: Farhan Akhtar



DIL CHAHATA HAI.......



Dil Chahta Hai, Dil Chahta Hai

Dil Chahta Hai, Kabhi Na Beete Chamkeele Din

Dil Chahta Hai, Hum Na Rahein Kabhi Yaaron Ke Bin

Din Din Bhar Ho Pyaari Baatein

Jhoome Shaame, Gaaye Raatein

Masti Mein Rahe Dooba Dooba Hameshaa Samaa

Humko Raahon Mein Yoonhi Milti Rahein Khushiyaan

Dil Chahta Hai, Kabhi Na Beete Chamkile Din,

Dil Chahta Hai, Hum Na Rahe Kabhi Yaaron Ke Bin

Jagmagaate Hain, Jhilmilaate Hain Apne Raastein

Yeh Khushi Rahe, Roshni Rahe Apne Waaste

Oh Oh Oh ...

Jahan Ruke Hum, Jahan Bhi Jaayein

Jo Hum Chaahein, Voh Hum Paayein

Masti Mein Rahe Dooba Dooba Hameshaa Samaa

Humko Raahon Mein Yoonhi Milti Rahein Khushiyaan

Dil Chahta Hai, Dil Chahta Hai

Kaisa Ajab Yeh Safar Hai, Socho To Har Ik Hi Bekhabar Hai

Usko Jaana Kidhar Hai, Jo Waqt Aaye, Jaane Kya Dikhaaye

Oh Oh Oh ...

Dil Chahta Hai, Dil Chahta Hai

Dil Chahta Hai, Kabhi Na Beete Chamkeele Din

Dil Chahta Hai, Hum Na Rahein Kabhi Yaaron Ke Bin

Din Din Bhar Ho Pyaari Baatein

Jhoome Shaame, Gaaye Raatein

Masti Mein Rahe Dooba Dooba Hameshaa Samaa

Humko Raahon Mein Yoonhi Milti Rahein Khushiyaan

Jagmagaate Hain, Jhilmilaate Hain Apne Raastein

Yeh Khushi Rahe, Roshni Rahe Apne Waaste

Oh Oh Oh ...

Dil Chahta Hai ...



JAANE KYOON.......



(Jaane kyoon log pyaar karte hain

Jaane kyoon voh kisi pe marte hain) - 2

Jaane kyoon, jaane kyoon

Jaane kyoon, jaane kyoon, jaane kyoon

Pyaar mein sochiye to bas gham hai

Pyaar mein jo sitam bhi ho kam hai

Pyaar mein sar jhukaana padta hai

Dard mein muskuraana padta hai

Zaher kyoon zindagi mein bharte hain

Jaane kyoon log pyaar karte hain

Jaane kyoon, jaane kyoon

Jaane kyoon, jaane kyoon, jaane kyoon

(Pyaar bin jeene mein rakha kya hai

Pyaar jisko nahin voh tanhaa hai) - 2

Pyaar sau rang leke aata hai

Pyaar hi zindagi sajaata hai

Log chhup chhupke pyaar karte hain

Jaane kyoon saaf kehte darrte hain

Jaane kyoon, jaane kyoon

Ho jaane kyoon, jaane kyoon, jaane kyoon

Pyaar bekaar ki musibat hai

Pyaar har tarah khoobsurat hai

Oh, pyaar se hum door hi achhe

Arre pyaar ke sab roop hai sachche

Ho, pyaar ke ghaat jo utarte hai

Doobte hai na voh ubharte hai

Jaane kyoon, jaane kyoon

Pyaar to khair sabhi karte hain

Jaane kyoon aap hi mukarte hain

Jaane kyoon, jaane kyoon

Jaane kyoon, jaane kyoon, jaane kyoon


WOH LADAKI HAI KAHAN.......



Jisse dhoondta hoon main har kahin

Jo kabhi mili mujhe hai nahin

Mujhe jiske pyaar par ho yakeen

Woh ladki hai kahan

Jisse sirf mujhse hi pyaar ho

Jo yeh kehne ko bhi taiyyaar ho

Suno tum hi mere dildaar ho

Woh ladki hai kahan

Jo tumhaare khwaabon mein hain basi

Woh haseen murti pyaar ki

Milegi tumhe kabhi na kabhi

Zara dekho yahan wahan

Chalo dhoondte hain hum tum kahin

Woh pari woh hoor woh naazneen

Jisse dekho to kaho tum vahi

Arre yeh to hain yahan

Jaane kyoon khayaal aaya mujhe

Ke woh ladki kahin tum to nahin

Tum mein hain woh saari khubiyaan

Tha jinko dhoondta main har kahin

Tumhe dhoka lagta hai ho gaya

Mujhe hain samajh liya jaane kya

Na main hoon pari, na main apsara

Karo tum na yeh ghumaan

Jisse dhoondta hoon main har kahin

Jo kabhi mili mujhe hai nahin

Mujhe jiske pyaar par ho yakeen

Woh ladki hai kahan

Maan lo agar main yeh kahoon

Ke mere khwaabon mein tum hi to ho

Jaan lo, mera armaan hai

Ke mere saath hi ab tum raho

Mujhe tumne kya yeh samjha diya

Mera dil ko jaise dhadka diya

Mere tan badan ko pighla diya

Woh sunaaye daastaan

Jisse dhoondta hoon main har kahin

Jo kabhi mili mujhe hai nahin

Mujhe jiske pyaar par ho yakeen

Woh ladki hai kahan

Woh ladki hai yahan

Woh ladki hai kahan

Woh ladki hai yahan

Woh ladki hai kahan

Woh ladki hai yahan

Woh ladki hai kahan

Woh ladki hai yahan


KOI KAHE.......



Koi kahe, kehta rahe kitna bhi humko deewana - 2

Hum logon ki thokar mein hai yeh zamaana

Jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana - 2

Oh, gaayenge hum apne dilon ka taraana

Bigade duniya, bigadne bhi do

Jhagade duniya, jhagadne bhi do

Lade jo duniya, ladne bhi do, hum apni dhun gaao

Duniya roothe, roothne do

Bandhan toote, tootne do

Koi chhoote, chhootne do, na ghabraao

Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana - 2

Aankhon mein hain bijliyaan, saanson mein toofaan hai

Darr kya hai aur haar kya, hum isse anjaan hai

Hamaare liye hi to hai aasmaan aur zameen

Sitaarein bhi hum tod lenge, hamein hai yakeen

Ambar se hai aage hamaara thikaana

Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana

Sapnon ka jo des hai, haan hum vahin hain pale

Thode se dil phenk hai, thode se hai mann chale

Jahan bhi kahe apna jaadu dikhaate rahe

Mohabbat haseenon ko aksar sikhaate rahe

Aaye hamein dil aur neendein churaana

Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana

Koi kahe, kehta rahe kitna bhi humko deewana

Koi, kehta, kitna bhi humko deewana

Oh, hum logon ki thokar mein hai yeh zamaana

Oh, jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana

Jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana

Oh, gaayenge hum apne dilon ka taraana

Bigade duniya, bigadne bhi do

Jhagade duniya, jhagadne bhi do

Lade jo duniya, ladne bhi do, hum apni dhun gaao

Duniya roothe, roothne do

Bandhan toote, tootne do

Koi chhoote, chhootne do, na ghabraao

Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana

Oh, hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana



TANHAAI.......



Tanhaai, tanhaai

Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi

Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi

Har khushi so gayi, zindagi kho gayi

Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi

Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai - 2

(Khwaab mein dekha tha ek aanchal

Maine apne haathon mein

Ab toote sapnon ke shishe

Chubte hai in aankhon mein) - 2

Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin

Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi

Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi - 2

(Kyoon aisi umeed ki maine

Jo aise naakaam hui

Door banaayi thi manzil

To raste mein hi shaam hui) - 2

Ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main

Kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi

Tanhaai, tanhaai, jaise andhero ki ho gehraayi

Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi

Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi

Har khushi so gayi, zindagi kho gayi

Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi

Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai - 2

Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai






No comments:

Post a Comment